These are the best collection of poem by me.....

kash me badal jata

Badal gye wo din wo waqt guzar gya
badal gyi hai zindagi sabki
kash main bi badal pata....
samay ke sath sabne aage kadam badhya
manzil ki doori apne sabne thoda ghataya
par maine nadani se ab tk chhutkara na paya 
har chij badal gya par main badal na paya....
apne badal gye ab sapne badal gye
Dost to mere sare kabke badal gye
ghar walo ki gali har roj hu khata
kas main bi thoda badal pata...           

               .                                
main bi ab thoda bada ho jata
future ki tension kabi mujhko bi satata
ghar walo ki ummid main bi pura kar pata
agar kash main thoda badal pata...
kuch karne ki chahat mujhko bi satata
samay ki ye dhara ko main samjh jata
kasti ko meri manzil nazar aa jata
agar kash main bi thoda badal pata...
                            .

Dil mera tha bachha Dimag mera hai kachha
ye dil kabi jab tuta main fail hamesha hota
guzra hua wo waqt agar lout ke wapas aata
to kash main bi thoda badal pata....
badal gye hai din badal gyi hai raat
chhod chuki hai wo bi ab to mera sath
meri kismat me rang naya aa jata
aur kash main bi khud ko badal pata....
aur kash main bi khud ko badal pata.....\\\\\

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sagar,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tumse bas itna tha kahna

 
Tumse bas itna tha kahna, door na hamse rahna             
Har khusi tumse judi hai ,hamko bi tum yad karna.
chahat se mere bekhabar the, tumko jane kya pata
hamse hue iatni khata ,kar sake na hum bayaan.
meri neendo me kabi sapno me aakar bat karna
Tumse bas itna tha kahna, door na hamse rahna...


aasma ke tare ab to ,kah rahe mujhse sada
chand meri hai yahi to, chand teri hai kaha.
mujhko bi malum na tha tu to meri hai jahaan
har ghadi teri kami hai ek nazar didar karna.
Tumse bas itna tha kahna, door na hamse rahna.....


aashiqi ye to meri tere liye hi hai bani
tumko ab kaise bataye aakho me tu hi basi.
mujko to itna pata hai tumsa na koi haseen
hai tammna ab to meri tujpe hi aitbar karna.
Tumse bas itna tha kahna, door na hamse rahna........


Yah to ek Sapna tha


Chhutti tha Diwali ka Sath mei yaadein ghar ka,
mujhe dar tha padhai ka ,
Magar yaad aaya ma ki hath ki mithai ka ,
Babuji ke pyar ka ,
To maa ki dulaar ka ,

Baitha gaadi mei in yaadon ko sochte sochte
Rah kat gaya bas dekhte dekhte ,
Jab aankhe khuli to
Maa ka aanchal tha
Aankho mei nami thi , Jigar mei tha pyar
Yahi mera Diwali ka sabse bada uphaar..

Jab savera hua to, Akela tha ,
Pass na koi apna tha ,
Yah to matra ek sapna tha...
Yah to matra ek sapna tha

.........sagar..........................

Maa

Kitni pyari hoti hai maa,
Sabse nyari hoti hai maa,
Yaad aata hai mujhe wo bacchpana 
wo pyar bhare din wo maa ke hath ka khana ,

Khud nahi soti, mujhe sulati thi maa,
Neend nahi aata to lori gati thi maa,Kitni pyari hoti hai maa,
Sabse nyari hoti hai maa...


Samay ka ye bahati dhara rukh jata
Chaand aur suraj kahin chhup jata,
Kaash mai abhi bacchaa hota
chhupkar tumhare aanchal mei soya hota.
Swarg tumahari aanchal  hai maa
Kitni pyari hoti hai maa,
Sabse nyari hoti hai maa..


Iswaar se yahi prathna karunga har lamho mei,
Tu hi meri maa bane har janmo mei,
Teri sada chhaya rahe mujh par
Bas mera yahi khovaish jeevan bhar...



.............................sagar.............................

Ek undekhi Haseena

kas ek din aisa bhi aaye
meri palke teri palko se mil paye
bs tujhe dekhta rhu ankho se
aur tu meri palko me bas jaye'
ek labz bhi na kahu hoton se
aur tu meri har bat samjh jaye
kaid ho jao meri akho me tum hamesha k liye
chahe fir kbi na mil paye,
kas ek din aisa aaye
dil me basi jo tasveer hai use ye nachiz dekh paye'
har ghadi har waqt  jo mere sath rha hai
wo chand mujhe dikh jaye,
hai meri ye gujarish ki tere
saare gum meri palko se bah jaye..
aur teri muskurati labon ko
dekhkar mera sare gum dur ho jaye..
kas ek din aisa aaye meri dhakan
kabi tere sine me dhadak paye
kyu na ye suraj aaj paschim se nikale
aur mera intzar khatm ho jaye
karta mai bi hu khudai khuda ki
kyu na mere bhi sapne sach ho jaye
suna hai aasman ke tare bi tut jate hai
mujhe to sirf  tu nazar aa jaye......!!!!!

jab pahli bar usko dekha..........

sochta tha main kitni sundar hai ye duniya  
ye phool ye kaliyan , ye jharne ye nadiyan
ye Raat ki chandni me  jagmagati  galiyan,,
Par aye  hasina tu jane kaha se aayi hai
es sansar ki sundarta to sirf tujhme samayi hai
lagta hai tu es dharti par apsara banke aayi hai,,
jis pal se tumhe dekha aankho me
bas gayi hai
na koi hai na haga tumsa sundar, ye
main jan gya
tujhe dekhkar ye hasina main sab
kuch bhula gya..

izhaar ki saza

kuch es tarah wo hamse nigahen pher gaye
aisa  laga jaise  Dil ke kai  tukde kar gaye,,
izhaar karne gaye  the apni mohhabbat ka
wo bich smundar me hamko akela chhod gaye,,
chahat me uske es kadar diwana tha main
aashiq kaho,aawara kaho ya parwana tha

main,,
sab kuch bhula diya par usko bhula na

paya
es pure duniya ke bich me tanha tha

main,,
kyo hoti hai ye mohhabat main samajh na

paya
agali subah jab hue to mar chuka tha
main........